1) Roti na pakao.
2) Tandoor pay ja k panch ropay ki lay ao.
3) School may achi tarah parho, job pay laggo, cook rakh lo, woh bana day ga.
4) Agar paanch ropay na hon, job bhi na ho tou fridge may say ata nikalo.
5) Aik gol anda banao, geelay atay ka.
6) Sookhay atay may daalo.
7) Tawa on karo.
8) Chakla belan uthao. Atay ka anda us pay rakho.
9) Belo.
10) Flat karo.
11) Tawa jo pehlay say on tha aur ab garam ho chuka hai us pay apni flat aur Africa kay nakshay jesi roti daalo
12) Pyaas lag rahi hai to paani peenay jao.
13) Rastay may TV dekhnay k liay ruk jana.
14) Boo aa rahi hai?
15) Roti sarr gayi hai.
16) Dobara pakao.
