Sawal: Apka naam?
Shahid Afridi: Munawar Hussain! Bhae bulaya kyun hai naam he nahi pata
tou?
Sawal: Pesha?
Afridi: Drugs bechta hoon. Hadd hai! Cricketer hoon! Har match may apki
tazleel ka nishana banta hoon aur ap naam peshay may phansay huay hain.
Sawal: Ap kitnay saal say cricket may hain?
Afridi: Paida he wahan hua tha!
Sawal: Kya ap ghussay kay tez hain?
Afridi: Ye APKO tou jald he pata lagnay wala hai.
Sawal: Apkay kitnay bachay hain?
Afridi: Yaar ye kis kism ka interview hai? Meray bachon ka kisi bhi
cheez say kya taaluq hai?
Sawal: Thand rakhain. Ap har match may itni jaldi out kyun ho jatay
hain?
Afridi: Darasal mujhay na pitch say darr lagta hai aur bat say boo ati
hai. Tou may jatay he wahan say nikalnay ki karta hoon!
Sawal: Ap aksar India kay players say larr partay hain. Kyun?
Afridi: Apko India walon ka pata he hai. Kisi tez loomri kay shaagird
hain saray k saray! Idher kuch kehtay hain, udher kuch kertay hain tou may tou
bardaasht nahi kar pata esa attitude.
Sawal: Apki pasandeeda film konsi hai?
Afridi: Pakistani sab filmain.
Sawal: Pasandeeda dialogue?
Afridi: Meri behen da dupatta wapas kar!
Sawal: Ap kay baal baray achay hain. Clear Men waqai kamal ka shampoo
hai!
Afridi: Bus kabhi gharoor nahi kiya!
Sawal: Apki bohat mehrbaani apnay qeemti wakt may say kuch wakt humay
dia.
Afirdi: Jee apka bhi shukriya nihayat he fazool sawal pooch kar mera
para charhanay ka!
